google algorithm ki jankari hindi me google algorithm ke kaam karne ka trika kya hai jaise jaise blog website ki ginti increase hoti ja rahi hai .GOOGLE spammer se user ko bchane ke liye smye smye pr apne system me badlab karta rahta hai . aksar seo experts ko kahte huye suna hai ke alogrithm me badlab se website or blog me traffic decrease ho jati hai
lekin agar google apne algo me changing na kare to new bloggers ko age ane ka moka nahi milega .seo expert or spamer apni site ko rato rat rank karwa lenge .
google algorithm ki jankari hindi me
bahut sari spam or galat website rank ho jayengi jinko rank nahi hona chahiye . chor apke hard work ko copy kar ke apne blog me paste kar ranking gain kar sakte the .
google ka ek hi lakshy hai ke upyog karta ko best quality content provide karwana is liye usko apne sytem or algorithm me badlab karna padta hai .
20 april 2018 ko google algorithm update hua hai hai jis karan kayi website ki ranking me asar pr sakta hai kayi new website high ranking gain kar sakti hai , google ne saaf saf kah diya hai ke jis blog ya website ki loading speed mobile me fast hogi wahi rank kar sakti hai .
list of google algorithm
google algorithm ki puri jankari hindi me - effects and solution
google hr saal 300-400 changing karta hai .jo ki bahut minor hote hai unka koe khas effect nahi padta .120+ major changing google algorithm me ho chuki hai .jime se 9-10 jyada parbhavshali hai .jaise ki
1 panda
2 penguin
3 pirate
4 pigeon
5 mobile friendly update
6 pagerank
7 possum
8 fred
9 hummingbird
google algorithm me ye changing upyog karta or website ke owner ke liye hoti hai .
panda google 's algoritm spam ,low and cheap quality content ko down rank karne ke liye kiya jata hai .iski shuruat feb 2014 me huyi thi .duplicate content ,keywords stuffing , jin site me bounce rate adhik hota hai ye algorith unke upr lagu kiya jata hai .
penguin aisy site ko down grade karta hai jinme bad or pure backlink, low quality backlinks,paid links ya aisy site se backlink ho jo smaj me nafrat failate hai ,
pirate google ka algo aisy site ko high rank hone se rokta hai jo jinme copy right reports ho jati hai agar apne kabhi koe aisa images ya video apne blog me lgaya hai to use turant hta de .
pigeon :- July 24, 2014 ko pigeon alog release kiya gya,iska kam hai local bizness ,local linsting ki ranking ko increase karna.
mobile friendly updates -- jo blog ya website mobile paryog karne walo ke liye use full hai ya jis site ko mobile user asani se dekh sakte hai asy site ko rank kar diya jata hai iske vipreet jo site mobile firendly nahi hai unko down rank kar diya jata hai .
pagerank isko rankbrain bhi kahte hai ye oct.2016 me samne aya tha isme google query ke sahi result show karta hai ,
possum algorithm user ke liye best results show karta hai agar koe searcher kisi product ya business ki jankari lena chahta hai google uske local area se result show karwata hai .
fred ads ko sahi tarike se use nahi kiya gya ho ya jo google webmaster giudeline ke vipreet kam karte hai ..ya jo site sirf affiliate pr jyada focus karti hai .
hummingbird google humminbird is liye bnaya gya google apne user ke shabdo ke abhipraye ko smjh sake ke wo kya search karna chahta hai . sahi result searcher ko show karwata hai .
google apne kaam karne ke tarike me jo bhi nya mod lata hai jise algo kahte hai wo sirf user ke liye karta hai taki user ko best result show kara sake , dosto agar apko meri ye post pasand aye to share jarur kare or agar koe sujhav dena chate hai to comment kar sakte hai . dhanyabaad
good
जवाब देंहटाएं